Thursday, 30 May 2013

SHRI KRISHAN CHALISA


Banshi shobhit kar madhur, nil jalad tanu shyam.
Arun adhar janu bimba phal, nayan kamal abhiram.
Puran Inder Arvind mukh, pitambar subh saj.
Jai Man Mohan Madan chhavi, Krishan chandra maharaj.

Jai Yadunandan jai jag vandan, Jai Vasudev Devki nandan.
Jai Yashoda sut Nand dulare, Jai prabhu bhaktan ke rakhvare.
Jai Nat naagar Nag nathaiya, Krishna Kanhaiya dhenu charaiya.
Puni nakh par Prabhu Girivar dharo, Ao dinan-kasht nivaro.
Banshi madhur adhar dhari tero, Hove puran vinya yeh mero.
Ao Hari puni makhan chakho, Aaj laaj bhaktan ki rakho.
Gol kapol chibuk arunare, Mridu muskan mohini dare.
Rajit Rajiv nayan vishala, Mor mukut vaijanti mala.
Kundal shravan peet put achhe, Kati kinkini kachhani kachhe.
Neel jalaj sundar tan sohai, Chhavi lakhi sur nar muniman mohai.
Mastak tilak alak ghunghrale, Ao Krishan bansuri vale.
Kari pai pan putanahin taryo, Aka-baka kagasur maryo.
Madhuvan jalat agin jab jvala,  Bhe shital lakhatahin Nandlala.
Surpati Jab Bruj chadhyo risai, Musar dhaar vari varshai.
Lagat lagat Bruj chahan bahayo, Govardhan nakh dhari bachayo.
Lakhi Yashuda man bhram adhikai, Mukh mahan chaudah bhuvan dikhai.
Dusht Kans ati udham machayo, Koti kamal jab phul mangayo.
Nathi kaliyahin tab tum linhyo, Charan chinh dai nirbhai kinhyo.
Kari gopin sang raas bilasa, Sab ki puran kari abhilasa.
Katik maha asur sanharyo, Kanshi kesh pakadi dai maryo.
Mata pita ki bandi chhudayo, Ugrasen kahan raj dilayo.
Mahi se mritak chhahon sut layo, Matu Devaki shok mitayo.
Bhomasur mur dataya sanhari, Lae shatdash sahas kumari.
Dai Bhimahin tran chir shara, Jarasindhu rakshas kahan mara.
Asur bkasur adik maryau, bhaktan kai tab kasht nivaryau.
Deen Sudama ke dukh taryo, Tandul teen muthi mukh daryo.
Prem ke saag vidur ghar mange, Duryodhan ke meva tyage.
Lakhi prem ki mahima bhari, Aise Shyam deen hitkari.
Bharat ke parath rath hanke, Liye chakra kar nahin bal thake.
Nij Gita ke gyan sunaye, Bhaktan hridai sudha varsaye.
Mira thee aisi matvali, vish pi gayi bajakar tali.
Rana bheja saap pitari, Shaligram bane banvari.
Nij maya tum vidhihin dikhayo, Ur te sanshai sakal mitayo.
Tab shat ninda kari tatkala, jivan mukt bhayo shishupala.
Jabahin Draupadi ter lagai, Dinanath laj ab jai.
Turatahi basan bane Nandlala, Badhay chir bhe ari munh kala.
As anaath ke nath Kanhaiya, Dubat bhanvar bachavahi naiya.
"Sundardas" Aas ur Dharri, Daya Drishti Keejay Banwari.
Nath sakal mum kumati nivaro, kshmhu begi apradh hamaro.
Kholo pat ab darshan dijai, Bolo Krishna Kanhaiya ki jai.

Yah chalisa Krishna ka, path karai ur dhari,
asht siddhi nay niddhi phal, lahai padarath chari.

No comments:

Post a Comment